khila hai phul bahut roz mein muqaddar ka
khilā hai phuul bahut roz meñ muqaddar kā
bas ab na band ho darvāza tere mandar kā
tamām shahr hai hañgāma-e-nashāt meñ gum
magar ye karb ye sannāTā mere andar kā
kabhī na khul ke hañsā huuñ na royā jī bhar ke
rakhā hai maiñ ne hamesha qadam barābar kā
sadā kisī kī ho aatā hai apne aap se ḳhauf
vo ajnabī huuñ ki ghar kā rahā na bāhar kā
gurez hai use merī galī se yuuñ jaise
yahāñ jo aayā to ho jā.egā vo patthar kā
ye gaahe gaahe kā milnā bhī koī milnā hai
jo ho sake to pata dījiye kabhī ghar kā
kabhī kabhī kā ho qissa to koī dukh bhī sune
uThā.e bojh bhalā kaun zindagī bhar kā
asīr-e-dām-e-fareb-e-zabāñ huā āḳhir
na e'tibār jise aayā dīda-e-tar kā
ġham-e-zamāna hai vo teġh-e-tishna-kām 'anjum'
uḌe haiñ paañv agar vaar bach gayā sar kā
khila hai phul bahut roz mein muqaddar ka
bas ab na band ho darwaza tere mandar ka
tamam shahr hai hangama-e-nashat mein gum
magar ye karb ye sannaTa mere andar ka
kabhi na khul ke hansa hun na roya ji bhar ke
rakha hai main ne hamesha qadam barabar ka
sada kisi ki ho aata hai apne aap se KHauf
wo ajnabi hun ki ghar ka raha na bahar ka
gurez hai use meri gali se yun jaise
yahan jo aaya to ho jaega wo patthar ka
ye gahe gahe ka milna bhi koi milna hai
jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar ka
kabhi kabhi ka ho qissa to koi dukh bhi sune
uThae bojh bhala kaun zindagi bhar ka
asir-e-dam-e-fareb-e-zaban hua aaKHir
na e'tibar jise aaya dida-e-tar ka
gham-e-zamana hai wo tegh-e-tishna-kaam 'anjum'
uDe hain panw agar war bach gaya sar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.