khila hua tera chehra gulab ka sa tha
khilā huā tirā chehra gulāb kā sā thā
aur us pe nuur kisī māhtāb kā sā thā
bahār kī koī taujīh aur kyā kiije
tamām rang tumhāre shabāb kā sā thā
tamām shahr-e-tamannā meñ ghuum kar dekhā
vahī samāñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb kā sā thā
tire qarīb to ḳhud se ba.iid ho ke rahe
tumhārā lutf tumhāre itaab kā sā thā
vo ek pal jo tumhāre baġhair biit gayā
vo ek pal bhī to yaum-e-hisāb kā sā thā
khila hua tera chehra gulab ka sa tha
aur us pe nur kisi mahtab ka sa tha
bahaar ki koi taujih aur kya kije
tamam rang tumhaare shabab ka sa tha
tamam shahr-e-tamanna mein ghum kar dekha
wahi saman dil-e-KHana-KHarab ka sa tha
tere qarib to KHud se baid ho ke rahe
tumhaara lutf tumhaare itab ka sa tha
wo ek pal jo tumhaare baghair bit gaya
wo ek pal bhi to yaum-e-hisab ka sa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.