khila khila hua chehra tera chaman ki tarah
khilā khilā huā chehra tirā chaman kī tarah
vo jism hai ki lage jism-e-sīm-tan kī tarah
na jaane kitne hasīñ haiñ mirī nigāhoñ meñ
koī badan nahīñ lekin tire badan kī tarah
jo uTh ga.e haiñ unheñ ye ḳhabar nahīñ shāyad
har anjuman to nahīñ terī anjuman kī tarah
ye belā juuhī chañbelī kī har taraf ḳhushbū
mahak rahā hai gulistāñ kisī dulhan kī tarah
tirā kamāl ki har rang tujh meñ poshīda
libās phūloñ ke haiñ tere pairahan kī tarah
vo maiñ nahīñ huuñ to phir aur kaun hai 'manzar'
vo sar se paañv tak ik shaḳhs mere fan kī tarah
khila khila hua chehra tera chaman ki tarah
wo jism hai ki lage jism-e-sim-tan ki tarah
na jaane kitne hasin hain meri nigahon mein
koi badan nahin lekin tere badan ki tarah
jo uTh gae hain unhen ye KHabar nahin shayad
har anjuman to nahin teri anjuman ki tarah
ye bela juhi chanbeli ki har taraf KHushbu
mahak raha hai gulistan kisi dulhan ki tarah
tera kamal ki har rang tujh mein poshida
libas phulon ke hain tere pairahan ki tarah
wo main nahin hun to phir aur kaun hai 'manzar'
wo sar se panw tak ek shaKHs mere fan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.