KHilaf sari lakiren thin hath malte kya
ḳhilāf saarī lakīreñ thiiñ haath malte kyā
jamī thī chehre pe gard aa.ina badalte kyā
havā.eñ raah meñ Derā jamā.e baiThī thiiñ
charāġh-e-dil ko liye do-qadam bhī chalte kyā
yugoñ se jism ke andar alaav raushan hai
kisī kī aañch se mere havās jalte kyā
chalī vo āñdhī ki jañgal bhī kaañp kaañp uThā
ki ham to shāḳh se TuuTe the phir sambhalte kyā
paḌī kiran to nadī ban ga.ī pahāḌ kī barf
vo Thahre sañg zarā der meñ pighalte kyā
nadī ke donoñ kināre haiñ ās-pās magar
janam ke fāsle the qurbatoñ meñ Dhalte kyā
KHilaf sari lakiren thin hath malte kya
jami thi chehre pe gard aaina badalte kya
hawaen rah mein Dera jamae baiThi thin
charagh-e-dil ko liye do-qadam bhi chalte kya
yugon se jism ke andar alaw raushan hai
kisi ki aanch se mere hawas jalte kya
chali wo aandhi ki jangal bhi kanp kanp uTha
ki hum to shaKH se TuTe the phir sambhalte kya
paDi kiran to nadi ban gai pahaD ki barf
wo Thahre sang zara der mein pighalte kya
nadi ke donon kinare hain aas-pas magar
janam ke fasle the qurbaton mein Dhalte kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.