KHilaf tha na zamana na waqt aisa tha
ḳhilāf thā na zamāna na vaqt aisā thā
jo sochiye to yahī hai nā baḳht aisā thā
bahār-rut meñ bhī shāḳhoñ ke haath ḳhālī the
khile na phuul ki mausam hī saḳht aisā thā
diye haiñ zaḳhm kuchh aise ki bhar sakeñ na kabhī
ye aur baat ki vo gul-ba-dast aisā thā
shuā-e-mehr hī aa.ī na chāñdnī utrī
maiñ kyā kahūñ ki mire dil kā dasht aisā thā
fazā-e-shām kī rangīn kar gayā hai qabā
ġhurūb-e-mehr gulāboñ ke tasht aisā thā
koī charāġh darīchoñ pe rakh ke kyā kartā
har ek samt havāoñ kā gasht aisā thā
vo chāñdnī to na thī chāñdnī ke TukḌe the
ki māhtāb mirā laḳht laḳht aisā thā
kisī safar meñ bhī bojhal hue na mere qadam
kahīñ bhī baiTh gayā sāz-o-raḳht aisā thā
palaT ke aa.e na phir kārvān-e-ahl-e-vafā
mohabbatoñ kī masāfat kā dasht aisā thā
amaan baañT rahā thā musāfiroñ meñ 'azīm'
ghanerī chhāñv luTātā daraḳht aisā thā
KHilaf tha na zamana na waqt aisa tha
jo sochiye to yahi hai na baKHt aisa tha
bahaar-rut mein bhi shaKHon ke hath KHali the
khile na phul ki mausam hi saKHt aisa tha
diye hain zaKHm kuchh aise ki bhar saken na kabhi
ye aur baat ki wo gul-ba-dast aisa tha
shua-e-mehr hi aai na chandni utri
main kya kahun ki mere dil ka dasht aisa tha
faza-e-sham ki rangin kar gaya hai qaba
ghurub-e-mehr gulabon ke tasht aisa tha
koi charagh darichon pe rakh ke kya karta
har ek samt hawaon ka gasht aisa tha
wo chandni to na thi chandni ke TukDe the
ki mahtab mera laKHt laKHt aisa tha
kisi safar mein bhi bojhal hue na mere qadam
kahin bhi baiTh gaya saz-o-raKHt aisa tha
palaT ke aae na phir karwan-e-ahl-e-wafa
mohabbaton ki masafat ka dasht aisa tha
aman banT raha tha musafiron mein 'azim'
ghaneri chhanw luTata daraKHt aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.