KHilat-o-zar ke talabgar tujhe kya malum
ḳhil.at-o-zar ke talabgār tujhe kyā ma.alūm
sar se girne lagī dastār tujhe kyā ma.alūm
hosh aatā hai magar hosh uḌāne vaalā
yaad aa jaatā hai har baar tujhe kyā ma.alūm
mol insān kī ġhairat kā lagāne vaale
kho ga.ī hurmat-e-bāzār tujhe kyā ma.alūm
baiTh sakte haiñ kahāñ zill-e-ilāhī ke qarīb
ham haiñ 'ġhālib' ke taraf-dār tujhe kyā ma.alūm
dahr ko dā.era-e-teġh meñ rakhne vaale
vus.at-e-jur.at-e-inkār tujhe kyā ma.alūm
nasha kaisā bhī ho ik roz utar jaatā hai
TuuT hī jaatī hai talvār tujhe kyā ma.alūm
vajh-e-tafrīq bhī ban jaatā hai zauq-e-ta.amīr
kaise uTh jaatī hai dīvār tujhe kyā ma.alūm
KHilat-o-zar ke talabgar tujhe kya malum
sar se girne lagi dastar tujhe kya malum
hosh aata hai magar hosh uDane wala
yaad aa jata hai har bar tujhe kya malum
mol insan ki ghairat ka lagane wale
kho gai hurmat-e-bazar tujhe kya malum
baiTh sakte hain kahan zill-e-ilahi ke qarib
hum hain 'ghaalib' ke taraf-dar tujhe kya malum
dahr ko daera-e-tegh mein rakhne wale
wusat-e-jurat-e-inkar tujhe kya malum
nasha kaisa bhi ho ek roz utar jata hai
TuT hi jati hai talwar tujhe kya malum
wajh-e-tafriq bhi ban jata hai zauq-e-tamir
kaise uTh jati hai diwar tujhe kya malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.