khile hain phul ki bu-bas kuchh ziyaada hai
khile haiñ phuul ki bū-bās kuchh ziyāda hai
ziyāda dard ki ehsās kuchh ziyāda hai
mujhe ye ġham ke subū kā ziyāñ na ho jaa.e
magar ye shauq tire paas kuchh ziyāda hai
utar to aa.ī hai barg-e-gulāb par shabnam
magar mujhe to abhī pyaas kuchh ziyāda hai
gahan-zada hai hamesha se chāñd āñgan kā
zarūrateñ haiñ baham aas kuchh ziyāda hai
khile hain phul ki bu-bas kuchh ziyaada hai
ziyaada dard ki ehsas kuchh ziyaada hai
mujhe ye gham ke subu ka ziyan na ho jae
magar ye shauq tere pas kuchh ziyaada hai
utar to aai hai barg-e-gulab par shabnam
magar mujhe to abhi pyas kuchh ziyaada hai
gahan-zada hai hamesha se chand aangan ka
zaruraten hain baham aas kuchh ziyaada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.