khile hain phul usi rang ki sataish mein
khile haiñ phuul usī rañg kī satā.ish meñ
jo be-misāl rahā aap apnī tābish meñ
vo ek din hī mirī zindagī kā hāsil hai
ki mere paas koī ruk gayā thā bārish meñ
bas ek jhiil hai aur peḌ kā ghanā saayā
sulag rahe haiñ ka.ī log jin kī ḳhvāhish meñ
kabhī huā jo kahīñ par ġhazal-sarā maiñ bhī
to mere yaar jale haiñ hasad kī ātish meñ
maiñ jis ko sochtā rahtā huuñ rāt-din 'ahmad'
usī ne rañg bhare haiñ mirī nigārish meñ
khile hain phul usi rang ki sataish mein
jo be-misal raha aap apni tabish mein
wo ek din hi meri zindagi ka hasil hai
ki mere pas koi ruk gaya tha barish mein
bas ek jhil hai aur peD ka ghana saya
sulag rahe hain kai log jin ki KHwahish mein
kabhi hua jo kahin par ghazal-sara main bhi
to mere yar jale hain hasad ki aatish mein
main jis ko sochta rahta hun raat-din 'ahmad'
usi ne rang bhare hain meri nigarish mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.