KHilqat-e-shahr to kahne ko fasane mange
ḳhilqat-e-shahr to kahne ko fasāne māñge
merī rusvā.ī ke kyā kyā na bahāne māñge
maiñ use roz na.e zaḳhm dikhā.ūñ phir bhī
dil-e-be-mehr vahī dard purāne māñge
ek āvāra-e-manzil se mohabbat kar ke
tū baḌe shahr meñ rahne ko Thikāne māñge
yād-e-māzī ke sivā paas mire kuchh bhī nahīñ
tū merī jaan vo pahle se zamāne māñge
rāt-bhar jāgte rahnā to nasīb apnā thā
sone vaalā to koī ḳhvāb suhāne māñge
dil-e-nādāñ se qanā.at kī tavaqqo.a hai kise
pā liyā un ko to kyā aur na jaane māñge
KHilqat-e-shahr to kahne ko fasane mange
meri ruswai ke kya kya na bahane mange
main use roz nae zaKHm dikhaun phir bhi
dil-e-be-mehr wahi dard purane mange
ek aawara-e-manzil se mohabbat kar ke
tu baDe shahr mein rahne ko Thikane mange
yaad-e-mazi ke siwa pas mere kuchh bhi nahin
tu meri jaan wo pahle se zamane mange
raat-bhar jagte rahna to nasib apna tha
sone wala to koi KHwab suhane mange
dil-e-nadan se qanaat ki tawaqqoa hai kise
pa liya un ko to kya aur na jaane mange
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.