khilta hai jahan par gul-e-nayab-e-tamanna
khiltā hai jahāñ par gul-e-nāyāb-e-tamanna
chhoḌ aa.e haiñ us raah meñ ham ḳhvāb-e-tamannā
bujhtā hai kisī dil meñ tirī yaad kā sūraj
raushan hai kisī baam pe mahtāb-e-tamannā
saudā hai mire sar meñ kisī aur jahāñ kā
ik aur tamanna hai pas-e-ḳhvāb-e-tamanna
utregā kabhī mujh pe mohabbat kā sahīfa
chheḌegā mire dil ko bhī mizrāb-e-tamannā
kuchh dil meñ taḌap hai na mirī aañkh meñ aañsū
māthe pe sajā rakkhī hai mehrāb-e-tamannā
pahuñcheñge 'ziyā' bārgah-e-husn meñ ik roz
khul jā.egā ham par bhī kabhī bāb-e-tamannā
khilta hai jahan par gul-e-nayab-e-tamanna
chhoD aae hain us rah mein hum KHwab-e-tamanna
bujhta hai kisi dil mein teri yaad ka suraj
raushan hai kisi baam pe mahtab-e-tamanna
sauda hai mere sar mein kisi aur jahan ka
ek aur tamanna hai pas-e-KHwab-e-tamanna
utrega kabhi mujh pe mohabbat ka sahifa
chheDega mere dil ko bhi mizrab-e-tamanna
kuchh dil mein taDap hai na meri aankh mein aansu
mathe pe saja rakkhi hai mehrab-e-tamanna
pahunchenge 'ziya' bargah-e-husn mein ek roz
khul jaega hum par bhi kabhi bab-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.