khilte phulon jaisi thi
khilte phūloñ jaisī thī
ye duniyā kabhī achchhī thī
giit the us kī āñkhoñ meñ
shaam bhī mahkī mahkī thī
na.e dar khulte dekhe the
merī nazar jab bahkī thī
us ke jism ke sho.ale se
dil kī bastī chamkī thī
maiñ us ḳhvāb kā hissa thā
vo jis ḳhvāb meñ rahtī thī
jis ne merā dil toḌā
vo to pariyoñ jaisī thī
sub.h sabā kī āñkhoñ meñ
raat vo chāñd meñ rahtī thī
khilte phulon jaisi thi
ye duniya kabhi achchhi thi
git the us ki aankhon mein
sham bhi mahki mahki thi
nae dar khulte dekhe the
meri nazar jab bahki thi
us ke jism ke shoale se
dil ki basti chamki thi
main us KHwab ka hissa tha
wo jis KHwab mein rahti thi
jis ne mera dil toDa
wo to pariyon jaisi thi
subh saba ki aankhon mein
raat wo chand mein rahti thi
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 79)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.