khinch ke wo aur tarahdar nazar aate hain
khinch ke wo aur tarahdar nazar aate hain
Shameem Farooq Banspari
MORE BYShameem Farooq Banspari
khiñch ke vo aur tarahdār nazar aate haiñ
bal jo abrū pe haiñ talvār nazar aate haiñ
phir mire haal pe hai chashm-e-ināyat un kī
phir vo kuchh dar-pai-e-āzār nazar aate haiñ
kis ne mahfil meñ ye chehre se uThā.ī hai naqāb
aa.ine naqsh-ba-dīvār nazar aate haiñ
qissa-e-dār-o-rasan ḳhatm na farmā.eñ huzūr
kuchh abhī haq ke parastār nazar aate haiñ
ik hamīñ lutf-e-masīhā.ī ke maare to nahīñ
achchhe achchhe tire bīmār nazar aate haiñ
ḳhair ho sāqī-e-nau-ḳhez ki mahfil meñ tirī
aaj kuchh sāhab-e-dastār nazar aate haiñ
baat sachchī kahīñ kambaḳht ne kah dī shāyad
log 'fārūq' se bezār nazar aate haiñ
khinch ke wo aur tarahdar nazar aate hain
bal jo abru pe hain talwar nazar aate hain
phir mere haal pe hai chashm-e-inayat un ki
phir wo kuchh dar-pai-e-azar nazar aate hain
kis ne mahfil mein ye chehre se uThai hai naqab
aaine naqsh-ba-diwar nazar aate hain
qissa-e-dar-o-rasan KHatm na farmaen huzur
kuchh abhi haq ke parastar nazar aate hain
ek hamin lutf-e-masihai ke mare to nahin
achchhe achchhe tere bimar nazar aate hain
KHair ho saqi-e-nau-KHez ki mahfil mein teri
aaj kuchh sahab-e-dastar nazar aate hain
baat sachchi kahin kambaKHt ne kah di shayad
log 'faruq' se bezar nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.