Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHiram-e-naz se shaKH-e-gulab mahw-e-amal

Tahir Saood Kiratpuri

KHiram-e-naz se shaKH-e-gulab mahw-e-amal

Tahir Saood Kiratpuri

MORE BYTahir Saood Kiratpuri

    ḳhirām-e-nāz se shāḳh-e-gulāb mahv-e-'amal

    sharābī mahv-e-nazāra sharāb mahv-e-'amal

    safed-o-surḳh kañval ḳhū-e-chashm-e-dām liye

    khaḌe haiñ raah meñ lekin shabāb mahv-e-'amal

    asīr-e-zulf-e-girah-gīr asīr-e-raqs-o-surūr

    mutma.in hai magar kāmyāb mahv-e-'amal

    maqām ho ke makīñ ahl-e-tamkanat na hue

    so aap jā.iye rahiye janāb mahv-e-'amal

    hamāre dil ye kyā kaifiyat hai hazrat-e-'ishq

    nashāt mahv-e-'amal iztirāb mahv-e-'amal

    hadaf ko bhuul ga.e sāhibān-e-mushk-e-ḳhutan

    pe āb-o-tāb se haiñ sab ḳharāb mahv-e-'amal

    ġhazāl-e-fikr-o-firāsat bhaTak ga.e haiñ 'sa'ūd'

    haqīqateñ nahīñ goyā haiñ ḳhvāb mahv-e-'amal

    KHiram-e-naz se shaKH-e-gulab mahw-e-'amal

    sharabi mahw-e-nazara sharab mahw-e-'amal

    safed-o-surKH kanwal KHu-e-chashm-e-dam liye

    khaDe hain rah mein lekin shabab mahw-e-'amal

    asir-e-zulf-e-girah-gir asir-e-raqs-o-surur

    tu mutmain hai magar kaamyab mahw-e-'amal

    maqam ho ke makin ahl-e-tamkanat na hue

    so aap jaiye rahiye janab mahw-e-'amal

    hamare dil ki ye kya kaifiyat hai hazrat-e-'ishq

    nashat mahw-e-'amal iztirab mahw-e-'amal

    hadaf ko bhul gae sahiban-e-mushk-e-KHutan

    pe aab-o-tab se hain sab KHarab mahw-e-'amal

    ghazal-e-fikr-o-firasat bhaTak gae hain 'sa'ud'

    haqiqaten nahin goya hain KHwab mahw-e-'amal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now