KHirad ai be-KHabar kuchh bhi nahin hai
ḳhirad ai be-ḳhabar kuchh bhī nahīñ hai
na ho saudā to sar kuchh bhī nahīñ hai
chamak saarī darūn-e-shāḳh-e-gul hai
nihāl-o-shāḳh par kuchh bhī nahīñ hai
ḳhalā meñ bāl-o-par mā.il-ba-parvāz
zamīñ par ghar shajar kuchh bhī nahīñ hai
haqīqat bhī hai pāband-e-taġhayyur
jahāñ meñ mo'tabar kuchh bhī nahīñ hai
sahm jaatā huuñ lutf-e-dostāñ se
ki dushman ho to Dar kuchh bhī nahīñ hai
ye saarā fāsla dil kā hai varna
miyān-e-dasht-o-dar kuchh bhī nahīñ hai
KHirad ai be-KHabar kuchh bhi nahin hai
na ho sauda to sar kuchh bhi nahin hai
chamak sari darun-e-shaKH-e-gul hai
nihaal-o-shaKH par kuchh bhi nahin hai
KHala mein baal-o-par mail-ba-parwaz
zamin par ghar shajar kuchh bhi nahin hai
haqiqat bhi hai paband-e-taghayyur
jahan mein mo'tabar kuchh bhi nahin hai
sahm jata hun lutf-e-dostan se
ki dushman ho to Dar kuchh bhi nahin hai
ye sara fasla dil ka hai warna
miyan-e-dasht-o-dar kuchh bhi nahin hai
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 100)
- Author : Syed Amin Ashraf
- Publication : Urdu Monthly Shabkhoon Rani Mandi Allahabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.