KHirad fareb-e-nazaron ki koi baat karo
Interesting Fact
April 1951
ḳhirad fareb-e-nazāroñ kī koī baat karo
junūñ-navāz bahāroñ kī koī baat karo
kisī kī va.ada-ḳhilāfī kā zikr ḳhuub nahīñ
mire rafīq sitāroñ kī koī baat karo
zamāna-sāz zamāne kī baat rahne do
ḳhulūs-e-dost ke māroñ kī koī baat karo
ghaTā kī oT se chhup kar jo dekhte the hameñ
unhīñ sharīr sitāroñ kī koī baat karo
zamāna zikr-e-havādis se kaañp uThtā hai
sukūñ-ba-dosh kināroñ kī koī baat karo
nahīñ hai hadd-e-nazar tak vajūd sāhil kā
fazā muhīb hai dhāroñ kī koī baat karo
salām-e-shauq liye the kisī ne jin se 'shakeb'
unhīñ latīf ishāroñ kī koī baat karo
KHirad fareb-e-nazaron ki koi baat karo
junun-nawaz bahaaron ki koi baat karo
kisi ki wada-KHilafi ka zikr KHub nahin
mere rafiq sitaron ki koi baat karo
zamana-saz zamane ki baat rahne do
KHulus-e-dost ke maron ki koi baat karo
ghaTa ki oT se chhup kar jo dekhte the hamein
unhin sharir sitaron ki koi baat karo
zamana zikr-e-hawadis se kanp uThta hai
sukun-ba-dosh kinaron ki koi baat karo
nahin hai hadd-e-nazar tak wajud sahil ka
faza muhib hai dhaaron ki koi baat karo
salam-e-shauq liye the kisi ne jin se 'shakeb'
unhin latif ishaaron ki koi baat karo
- Book : Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 261)
- Author : Mohd Nasir Khan
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.