KHirad ka lafz junun ki kitab mein na likho
ḳhirad kā lafz junūñ kī kitāb meñ na likho
kisī kā jurm kisī ke hisāb meñ na likho
qalam lahū meñ Dubo kar likho jo likhnā hai
magar qalam ko Dubo kar sharāb meñ na likho
javān nasl ġhalat raa.e aḳhz kar legī
kahāniyoñ ko haqīqat ke baab meñ na likho
hamāre sher kahāñ fikr-o-fan se tābinda
hamāre sher abhī intiḳhāb meñ na likho
tumhārā ġham ġham-e-daurāñ ġham-e-hayāt ke ba.ad
ab aur ġham dil-e-ḳhāna-ḳharāb meñ na likho
KHirad ka lafz junun ki kitab mein na likho
kisi ka jurm kisi ke hisab mein na likho
qalam lahu mein Dubo kar likho jo likhna hai
magar qalam ko Dubo kar sharab mein na likho
jawan nasl ghalat rae aKHz kar legi
kahaniyon ko haqiqat ke bab mein na likho
hamare sher kahan fikr-o-fan se tabinda
hamare sher abhi intiKHab mein na likho
tumhaara gham gham-e-dauran gham-e-hayat ke baad
ab aur gham dil-e-KHana-KHarab mein na likho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.