KHirad ki bazm mein charcha bane hue hain hum
ḳhirad kī bazm meñ charchā bane hue haiñ ham
na jaane kab se muammā bane hue haiñ ham
hamāre haal pe hañste haiñ yuuñ jahāñ vaale
ki jaise koī tamāsha bane hue haiñ ham
sar-e-niyāz jhukā.eñ to kis taraf āḳhir
ki jab ḳhud apnā hī ka.aba bane hue haiñ ham
na hoñge ham to sitam ko karam kahegā kaun
tire sulūk kā parda bane hue haiñ ham
azal se vahm-o-gumāñ meñ hai kashmakash jaarī
ik intizār kā lamha bane hue haiñ ham
kabhī laboñ pe haiñ naġhmeñ kabhī hai mohar-e-sukūt
kabhī chaman kabhī sahrā bane hue haiñ ham
tamām chehre pe likkhī hai dāstāñ dil kī
tamām arz-e-tamannā bane hue haiñ ham
KHirad ki bazm mein charcha bane hue hain hum
na jaane kab se muamma bane hue hain hum
hamare haal pe hanste hain yun jahan wale
ki jaise koi tamasha bane hue hain hum
sar-e-niyaz jhukaen to kis taraf aaKHir
ki jab KHud apna hi kaba bane hue hain hum
na honge hum to sitam ko karam kahega kaun
tere suluk ka parda bane hue hain hum
azal se wahm-o-guman mein hai kashmakash jari
ek intizar ka lamha bane hue hain hum
kabhi labon pe hain naghmen kabhi hai mohar-e-sukut
kabhi chaman kabhi sahra bane hue hain hum
tamam chehre pe likkhi hai dastan dil ki
tamam arz-e-tamanna bane hue hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.