KHirad ki had se Takraya to pagal ho gaya main
ḳhirad kī had se Takrāyā to pāgal ho gayā maiñ
ma'ānī kī farāvānī se muhmal ho gayā maiñ
badan se sub.h ne saaya judā kar to diyā thā
Dhalī jo shaam to phir se mukammal ho gayā maiñ
yuuñ hī chaltā huā dekhā thā ḳhud ko dasht kī or
yuuñ hī chalte hue āñkhoñ se ojhal ho gayā maiñ
ḳhayāl aaya ki dukh Dhonā zarūrī to nahīñ hai
phir is ehsās se kuchh aur bojhal ho gayā maiñ
KHirad ki had se Takraya to pagal ho gaya main
ma'ani ki farawani se muhmal ho gaya main
badan se subh ne saya juda kar to diya tha
Dhali jo sham to phir se mukammal ho gaya main
yun hi chalta hua dekha tha KHud ko dasht ki or
yun hi chalte hue aankhon se ojhal ho gaya main
KHayal aaya ki dukh Dhona zaruri to nahin hai
phir is ehsas se kuchh aur bojhal ho gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.