KHirad ki rah se diwangi tak baat kyon pahunche
ḳhirad kī raah se dīvāngī tak baat kyoñ pahuñche
shu.ūr-e-ġham kī āshufta-sarī tak baat kyoñ pahuñche
vaqār-e-ishq kī ġham yā ḳhushī tak baat kyoñ pahuñche
hazāroñ aur bhī dil haiñ usī tak baat kyoñ pahuñche
agar dāman bache rahbar kī uljhan se to achchhā hai
ḳharāb-e-justujū kī gumrahī tak baat kyoñ pahuñche
nigāh-e-dil ke partav se kareñ shām-o-sahar raushan
mah-o-ḳhurshīd kī tābindagī tak baat kyoñ pahuñche
mohabbat kī kahānī ho ki nafrat kī hikāyat ho
kisī kī bhī sahī lekin kisī tak baat kyoñ pahuñche
nikharnā hai to nikhre apne hī ā.īne meñ fitrat
kisī ruḳh se nigāh-e-ādmī tak baat kyoñ pahuñche
mohabbat ḳhud hī hal kar le mohabbat ke muammoñ ko
ulajhne ko ḳhudī-o-be-ḳhudī tak baat kyoñ pahuñche
samo deñ haal ke dil meñ jo mustaqbil kī dhaḌkan ko
to baḌh kar is sadī se us sadī tak baat kyoñ pahuñche
sukūt-e-gul hī ā.īna banā de rāz-e-gulshan ko
'shifā' apne mazāq-e-shā.irī tak baat kyoñ pahuñche
KHirad ki rah se diwangi tak baat kyon pahunche
shuur-e-gham ki aashufta-sari tak baat kyon pahunche
waqar-e-ishq ki gham ya KHushi tak baat kyon pahunche
hazaron aur bhi dil hain usi tak baat kyon pahunche
agar daman bache rahbar ki uljhan se to achchha hai
KHarab-e-justuju ki gumrahi tak baat kyon pahunche
nigah-e-dil ke partaw se karen sham-o-sahar raushan
mah-o-KHurshid ki tabindagi tak baat kyon pahunche
mohabbat ki kahani ho ki nafrat ki hikayat ho
kisi ki bhi sahi lekin kisi tak baat kyon pahunche
nikharna hai to nikhre apne hi aaine mein fitrat
kisi ruKH se nigah-e-admi tak baat kyon pahunche
mohabbat KHud hi hal kar le mohabbat ke muammon ko
ulajhne ko KHudi-o-be-KHudi tak baat kyon pahunche
samo den haal ke dil mein jo mustaqbil ki dhaDkan ko
to baDh kar is sadi se us sadi tak baat kyon pahunche
sukut-e-gul hi aaina bana de raaz-e-gulshan ko
'shifa' apne mazaq-e-shairi tak baat kyon pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.