KHirad ne lakh sar-o-barg-e-ijtinab kiya
ḳhirad ne laakh sar-o-barg-e-ijtināb kiyā
tirī nigah ko mire dil ne kāmyāb kiyā
karam bhī tū ne jo ai āsmāñ-janāb kiyā
sukūn-e-dil ko mubaddal-ba-iztirāb kiyā
nisār us nigah-e-dil-navāz ke jis ne
asīr-e-dard kiyā vaqf-e-iztirāb kiyā
mujhe tirī nigah-e-intiḳhāb par hai ye rashk
jahān bhar se mujhe us ne intiḳhāb kiyā
dil-e-hazīñ gila-e-jaur us se jis ne tujhe
harīm-e-ishq-o-mohabbat meñ bāryāb kiyā
karam nahīñ na sahī jaur-e-nā-ravā hī sahī
ye kam nahīñ ki mujhe tū ne intiḳhāb kiyā
nigāh-e-shauq kī gustāḳhiyāñ ma.āz-allāh
kise harīm-e-tasavvur meñ be-naqāb kiyā
'rashīd' ishq kisī haal meñ gunāh nahīñ
chalo gunāh sahī ab to irtikāb kiyā
KHirad ne lakh sar-o-barg-e-ijtinab kiya
teri nigah ko mere dil ne kaamyab kiya
karam bhi tu ne jo ai aasman-janab kiya
sukun-e-dil ko mubaddal-ba-iztirab kiya
nisar us nigah-e-dil-nawaz ke jis ne
asir-e-dard kiya waqf-e-iztirab kiya
mujhe teri nigah-e-intiKHab par hai ye rashk
jahan bhar se mujhe us ne intiKHab kiya
dil-e-hazin gila-e-jaur us se jis ne tujhe
harim-e-ishq-o-mohabbat mein baryab kiya
karam nahin na sahi jaur-e-na-rawa hi sahi
ye kam nahin ki mujhe tu ne intiKHab kiya
nigah-e-shauq ki gustaKHiyan maaz-allah
kise harim-e-tasawwur mein be-naqab kiya
'rashid' ishq kisi haal mein gunah nahin
chalo gunah sahi ab to irtikab kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.