KHirad se dur gham-e-tund-KHu mein achchhe the
ḳhirad se duur ġham-e-tund-ḳhū meñ achchhe the
isī junūñ meñ isī hāv-hū meñ achchhe the
nikal ke aap se bāhar ḳharāb-o-ḳhvār hue
mudām-e-ġharq ham apne lahū meñ achchhe the
ġhurūr-e-zohd se ranj-e-gunāh behtar thā
ḳharāb shaġhl sharāb-o-subū meñ achchhe the
vo rā.egāñ bhī agar thī to rā.egāñ na kaho
ki roz-o-shab mire is justujū meñ achchhe the
agarche vo bhī na the hasb-e-ārzū lekin
vo din kaTe jo tirī aarzū meñ achchhe the
havā huī hai muāfiq hameñ vahīñ le chal
safīna-rāañ ham isī aabjū meñ achchhe the
KHirad se dur gham-e-tund-KHu mein achchhe the
isi junun mein isi haw-hu mein achchhe the
nikal ke aap se bahar KHarab-o-KHwar hue
mudam-e-gharq hum apne lahu mein achchhe the
ghurur-e-zohd se ranj-e-gunah behtar tha
KHarab shaghl sharab-o-subu mein achchhe the
wo raegan bhi agar thi to raegan na kaho
ki roz-o-shab mere is justuju mein achchhe the
agarche wo bhi na the hasb-e-arzu lekin
wo din kaTe jo teri aarzu mein achchhe the
hawa hui hai muafiq hamein wahin le chal
safina-raan hum isi aabju mein achchhe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.