KHirad se hosh se begana kar diya hai mujhe
ḳhirad se hosh se begāna kar diyā hai mujhe
tire jamāl ne dīvāna kar diyā hai mujhe
mirā nasīb mirī justujū karam us kā
talab se pahle 'atā daana kar diyā hai mujhe
maiñ fitratan bahut āzād thā magar us ne
asīr-e-bām-o-dar-e-ḳhāna kar diyā hai mujhe
hamesha ḳhud rahā qaa.em haqīqateñ ban kar
maiñ band Thahrā so afsāna kar diyā hai mujhe
'sharar' banā diyā shabnam meñ parvarish kar ke
jo us ne chāhā to kyā kyā na kar diyā hai mujhe
KHirad se hosh se begana kar diya hai mujhe
tere jamal ne diwana kar diya hai mujhe
mera nasib meri justuju karam us ka
talab se pahle 'ata dana kar diya hai mujhe
main fitratan bahut aazad tha magar us ne
asir-e-baam-o-dar-e-KHana kar diya hai mujhe
hamesha KHud raha qaem haqiqaten ban kar
main band Thahra so afsana kar diya hai mujhe
'sharar' bana diya shabnam mein parwarish kar ke
jo us ne chaha to kya kya na kar diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.