KHirad wala bhi apne aap se begana aata hai
ḳhirad vaalā bhī apne aap se begāna aatā hai
jo un kī bazm se aatā hai vo dīvāna aatā hai
na josh-e-mai na kaif-e-naġhma-e-rindāna aatā hai
ik aisā vaqt bhī ai sāqi-e-mai-ḳhāna aatā hai
bayān-e-dard dil ko vā.iz-e-farzāna aatā hai
vo kyā jaane haqīqat us ko to afsāna aatā hai
maiñ chaltā to huuñ ghar se jānib-e-masjid magar nāseh
qadam ruk jaate haiñ raste meñ jab mai-ḳhāna aatā hai
ḳhirad vāloñ se jab hal mas.aloñ ke ho nahīñ paate
to phir is kaam kī ḳhātir koī dīvāna aatā hai
bahut mushkil hai in se bach ke rūdād-e-alam kahnā
ki afsāne se pahle sāhab-e-afsāna aatā hai
na jaane kaun sī lazzat hai is sozish meñ ai 'āsī'
ki pesh-e-sham.a jalne ke liye parvāna aatā hai
KHirad wala bhi apne aap se begana aata hai
jo un ki bazm se aata hai wo diwana aata hai
na josh-e-mai na kaif-e-naghma-e-rindana aata hai
ek aisa waqt bhi ai saqi-e-mai-KHana aata hai
bayan-e-dard dil ko waiz-e-farzana aata hai
wo kya jaane haqiqat us ko to afsana aata hai
main chalta to hun ghar se jaanib-e-masjid magar naseh
qadam ruk jate hain raste mein jab mai-KHana aata hai
KHirad walon se jab hal masalon ke ho nahin pate
to phir is kaam ki KHatir koi diwana aata hai
bahut mushkil hai in se bach ke rudad-e-alam kahna
ki afsane se pahle sahab-e-afsana aata hai
na jaane kaun si lazzat hai is sozish mein ai 'asi'
ki pesh-e-shama jalne ke liye parwana aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.