KHirman-e-dil ki jaan se uThta hai
ḳhirman-e-dil ki jaañ se uThtā hai
ye dhuāñ sā kahāñ se uThtā hai
us ko dard-āshnā samajhte haiñ
kab dhuāñ qalb-o-jāñ se uThtā hai
ab bajā.e dhueñ ke sho.ala sā
is dil-e-nā-tavāñ se uThtā hai
har jafā-kār ise samajhtā hai
fitna-o-shar kahāñ se uThtā hai
parcham-e-fikr-o-fan 'ziyā' sāhab
nukta-ras nukta-dāñ se uThtā hai
KHirman-e-dil ki jaan se uThta hai
ye dhuan sa kahan se uThta hai
us ko dard-ashna samajhte hain
kab dhuan qalb-o-jaan se uThta hai
ab bajae dhuen ke shoala sa
is dil-e-na-tawan se uThta hai
har jafa-kar ise samajhta hai
fitna-o-shar kahan se uThta hai
parcham-e-fikr-o-fan 'ziya' sahab
nukta-ras nukta-dan se uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.