KHizan bahaar ka unwan hai dekhiye kya ho
KHizan bahaar ka unwan hai dekhiye kya ho
Tabassum Nigam Dehlvi
MORE BYTabassum Nigam Dehlvi
ḳhizāñ bahār kā 'unvāñ hai dekhiye kyā ho
qafas kā naam gulistāñ hai dekhiye kyā ho
numūd-e-sub.h-e-bahārāñ hai dekhiye kyā ho
abhī se chaak garebāñ hai dekhiye kyā ho
na ārzū-e-haram hai na but-kade kā ḳhayāl
vo shoḳh hāsil-e-īmāñ hai dekhiye kyā ho
lagī huī hai chaman meñ ik aag sī har-sū
bahār sho'la-ba-dāmāñ hai dekhiye kyā ho
jahān-e-'ishq meñ dā'vā thā zabt kā jis ko
vo aaj chāk-garebāñ hai dekhiye kyā ho
na vo hayāt ke āsār haiñ na vo raunaq
udaas sham’-e-shabistāñ hai dekhiye kyā ho
sunā ye hai ki mire ghar phir aa rahā hai koī
hayāt aaj ġhazal-ḳhvāñ hai dekhiye kyā ho
abhī ġhurūb kahāñ āftāb-e-jaur huā
abhī se jashn-e-charāġhāñ hai dekhiye kyā ho
kisī tarah bhī 'tabassum' ko ab qarār nahīñ
hayāt sar-ba-garebāñ hai dekhiye kyā ho
KHizan bahaar ka 'unwan hai dekhiye kya ho
qafas ka nam gulistan hai dekhiye kya ho
numud-e-subh-e-bahaaran hai dekhiye kya ho
abhi se chaak gareban hai dekhiye kya ho
na aarzu-e-haram hai na but-kade ka KHayal
wo shoKH hasil-e-iman hai dekhiye kya ho
lagi hui hai chaman mein ek aag si har-su
bahaar sho'la-ba-daman hai dekhiye kya ho
jahan-e-'ishq mein da'wa tha zabt ka jis ko
wo aaj chaak-gareban hai dekhiye kya ho
na wo hayat ke aasar hain na wo raunaq
udas sham’-e-shabistan hai dekhiye kya ho
suna ye hai ki mere ghar phir aa raha hai koi
hayat aaj ghazal-KHwan hai dekhiye kya ho
abhi ghurub kahan aaftab-e-jaur hua
abhi se jashn-e-charaghan hai dekhiye kya ho
kisi tarah bhi 'tabassum' ko ab qarar nahin
hayat sar-ba-gareban hai dekhiye kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.