KHizan bulae magar roke hain bahaar mujhe
ḳhizāñ bulā.e magar roke haiñ bahār mujhe
maiñ Thahrī rut huuñ kabhī aa ke tū guzār mujhe
maiñ aks thī to tirī dastaras se bāhar thī
huī huuñ ruup to hāsil huuñ ab nikhār mujhe
maiñ Dhal chukī huuñ kisī sāñche meñ bahut pahle
na aur banñe kī kuchh chaak se utaar mujhe
na jaane kitne na.e rañg mujh meñ ugte haiñ
vo ek lams banā detā hai bahār mujhe
maiñ hijratoñ ke ka.ī dasht paar kar aa.ī
ai mujh se bichhḌī zamīñ ab to tū pukār mujhe
KHizan bulae magar roke hain bahaar mujhe
main Thahri rut hun kabhi aa ke tu guzar mujhe
main aks thi to teri dastaras se bahar thi
hui hun rup to hasil hun ab nikhaar mujhe
main Dhal chuki hun kisi sanche mein bahut pahle
na aur banne ki kuchh chaak se utar mujhe
na jaane kitne nae rang mujh mein ugte hain
wo ek lams bana deta hai bahaar mujhe
main hijraton ke kai dasht par kar aai
ai mujh se bichhDi zamin ab to tu pukar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.