KHizan chaman mein yun mastana-war guzri hai
ḳhizāñ chaman meñ yuuñ mastānā-vār guzrī hai
gumāñ ye hotā hai jaise bahār guzrī hai
fazā udaas galī muzmahil chaman pāmāl
bahār ab ke ḳhizāñ darkinār guzrī hai
abhī vahī kahīñ guzre na hoñ udhar ho kar
shamīm-bez havā itr-bār guzrī hai
zahe tasavvur-e-jānāñ zahe ḳhayāl-e-jamāl
har ek saañs mirī mushk-bār guzrī hai
tire karam se hamesha rahā hai dil shādāb
mire chaman se hamesha bahār guzrī hai
lubhā sakegī mujhe kyā kisī kī ra.anā.ī
mirī nazar se tumhārī bahār guzrī hai
ināyat aap kī vaj.h-e-sukūñ to hai lekin
maiñ kyā karūñ ki tabī.at pe baar guzrī hai
guzar rahī hai 'mubārak' guzar hī jā.egī
vo zindagī jo bahut nāgavār guzrī hai
KHizan chaman mein yun mastana-war guzri hai
guman ye hota hai jaise bahaar guzri hai
faza udas gali muzmahil chaman pamal
bahaar ab ke KHizan darkinar guzri hai
abhi wahi kahin guzre na hon udhar ho kar
shamim-bez hawa itr-bar guzri hai
zahe tasawwur-e-jaanan zahe KHayal-e-jamal
har ek sans meri mushk-bar guzri hai
tere karam se hamesha raha hai dil shadab
mere chaman se hamesha bahaar guzri hai
lubha sakegi mujhe kya kisi ki ranai
meri nazar se tumhaari bahaar guzri hai
inayat aap ki wajh-e-sukun to hai lekin
main kya karun ki tabiat pe bar guzri hai
guzar rahi hai 'mubarak' guzar hi jaegi
wo zindagi jo bahut nagawar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.