KHizan-gazida labon se ada karen tera nam
ḳhizāñ-gazīda laboñ se adā kareñ tirā naam
hamārī saañs se aa.e bahār kī ḳhushbū
nasīm-e-sub.h havā-e-chaman ki bād-e-bahār
hazār naam se yaad aa.e yaar kī ḳhushbū
phir aaj mausam-e-hijrāñ pe chhā.e abr-e-visāl
zamīn-e-dil se uThe intizār kī ḳhushbū
kisī ke lams kī tāsīr hai chaman meñ aaj
ki ham ko lagtī hai phūloñ sī ḳhaar kī ḳhushbū
KHizan-gazida labon se ada karen tera nam
hamari sans se aae bahaar ki KHushbu
nasim-e-subh hawa-e-chaman ki baad-e-bahaar
hazar nam se yaad aae yar ki KHushbu
phir aaj mausam-e-hijran pe chhae abr-e-visal
zamin-e-dil se uThe intizar ki KHushbu
kisi ke lams ki tasir hai chaman mein aaj
ki hum ko lagti hai phulon si KHar ki KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.