KHizan ho zalzala ho ya bhanwar ho
ḳhizāñ ho zalzala ho yā bhañvar ho
mire jazbāt kā kuchh to asar ho
hameñ bhī le chalo aisī Dagar par
jahāñ se chand ḳhushiyoñ kā guzar ho
milan jis meñ judā.ī tak na pahuñche
fasāna is qadar bhī muḳhtasar ho
kabhī to tazkira merā bhī nikle
mire hālāt kī us ko ḳhabar ho
kamī koī na rakhnā kāvishoñ meñ
natīje meñ bhale hāsil sifar ho
KHizan ho zalzala ho ya bhanwar ho
mere jazbaat ka kuchh to asar ho
hamein bhi le chalo aisi Dagar par
jahan se chand KHushiyon ka guzar ho
milan jis mein judai tak na pahunche
fasana is qadar bhi muKHtasar ho
kabhi to tazkira mera bhi nikle
mere haalat ki us ko KHabar ho
kami koi na rakhna kawishon mein
natije mein bhale hasil sifar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.