KHizan ka pyas ka mahrumi-e-bahaar ka dukh
ḳhizāñ kā pyaas kā mahrūmī-e-bahār kā dukh
athāh ret meñ phailā hai regzār kā dukh
darīda-tan huuñ thakan se ki ab to jaatā rahā
qabā-e-chāk-o-garebān-e-tār-tār kā dukh
mirī ġhazal kī alāmat faqat ye do misre
visāl-e-yār kā imkāñ firāq-e-yār kā dukh
adhūrī baazī kā itnā sā sukh to hai ki mujhe
kisī kī jiit kā ġham hai na apnī haar kā dukh
hai dhaḌkanoñ kī jagah dil meñ terī yaad kī chaap
bajā.e niiñd hai āñkhoñ meñ intizār kā dukh
KHizan ka pyas ka mahrumi-e-bahaar ka dukh
athah ret mein phaila hai regzar ka dukh
darida-tan hun thakan se ki ab to jata raha
qaba-e-chaak-o-gareban-e-tar-tar ka dukh
meri ghazal ki alamat faqat ye do misre
visal-e-yar ka imkan firaq-e-yar ka dukh
adhuri bazi ka itna sa sukh to hai ki mujhe
kisi ki jit ka gham hai na apni haar ka dukh
hai dhaDkanon ki jagah dil mein teri yaad ki chap
bajae nind hai aankhon mein intizar ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.