KHizan ka sog ya jashn-e-bahaar karte hue
ḳhizāñ kā sog yā jashn-e-bahār karte hue
kaTī hai umr tirā intizār karte hue
sharaf ye sirf muqaddar thā aa.ine ke liye
ki dekhtā rahā tujh ko siñghār karte hue
safar kī shaam kā manzar lahū meñ Duub gayā
sabhī malūl the tujh ko savār karte hue
lahū bujhā na sakā qātiloñ kī pyaas kabhī
thakī na sham.a patange shikār karte hue
banāo aab pe ik yādgār un kī 'azīm'
jo ġharq ho ga.e dariyā ko paar karte hue
KHizan ka sog ya jashn-e-bahaar karte hue
kaTi hai umr tera intizar karte hue
sharaf ye sirf muqaddar tha aaine ke liye
ki dekhta raha tujh ko singhaar karte hue
safar ki sham ka manzar lahu mein Dub gaya
sabhi malul the tujh ko sawar karte hue
lahu bujha na saka qatilon ki pyas kabhi
thaki na shama patange shikar karte hue
banao aab pe ek yaadgar un ki 'azim'
jo gharq ho gae dariya ko par karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.