KHizan ka zikr na zikr-e-bahaar karte rahe
ḳhizāñ kā zikr na zikr-e-bahār karte rahe
tujhī ko terī nigāhoñ se pyaar karte rahe
matā-e-dard ki baḌhtī rahī na jaane kyoñ
ilāj-e-dard mire ġham-gusār karte rahe
dayār-e-husn ke jalve the ḳhūb-tar lekin
mirī nazar ke liye intizār karte rahe
mujhe to raqs-e-masā.ib bhī raas aa na sake
vo bazm-hā-e-surūd-o-sitār karte rahe
kabhī yaqīn-e-mohabbat na thā na hai lekin
fareb-ḳhurda tirā e'tibār karte rahe
KHizan ka zikr na zikr-e-bahaar karte rahe
tujhi ko teri nigahon se pyar karte rahe
mata-e-dard ki baDhti rahi na jaane kyon
ilaj-e-dard mere gham-gusar karte rahe
dayar-e-husn ke jalwe the KHub-tar lekin
meri nazar ke liye intizar karte rahe
mujhe to raqs-e-masaib bhi ras aa na sake
wo bazm-ha-e-surud-o-sitar karte rahe
kabhi yaqin-e-mohabbat na tha na hai lekin
fareb-KHurda tera e'tibar karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.