KHizan ke dosh pe rakhta hai wo bahaar ka rang
KHizan ke dosh pe rakhta hai wo bahaar ka rang
Zafar Mahmood zafar
MORE BYZafar Mahmood zafar
ḳhizāñ ke dosh pe rakhtā hai vo bahār kā rang
ajab hai us kī nigāhoñ meñ intizār kā rang
ajab hai rasm-e-vafā aur e'tibār kā rang
ki dil meñ ban ke dhaḌaktā hai us ke pyaar kā rang
sukūn-e-dil kā Thikānā kahīñ na mil paayā
basā huā hai nigāhoñ meñ jo dayār kā rang
laboñ pe jhūTā tabassum namī sī āñkhoñ meñ
ayaañ hai chehre se us ke firāq-e-yār kā rang
amīr-e-shahr ko ham be-kasoñ se kyā matlab
use to chāhiye bas apne eqtidār kā rang
hamārī qaum ko paḌhne do qisse maazī ke
ḳhabar to hone do kyā thā salīb-o-dār kā rang
nahīñ thā shauq mujhe hijratoñ kā koī 'zafar'
dayār-e-ġhair meñ le aayā rozgār kā rang
KHizan ke dosh pe rakhta hai wo bahaar ka rang
ajab hai us ki nigahon mein intizar ka rang
ajab hai rasm-e-wafa aur e'tibar ka rang
ki dil mein ban ke dhaDakta hai us ke pyar ka rang
sukun-e-dil ka Thikana kahin na mil paya
basa hua hai nigahon mein jo dayar ka rang
labon pe jhuTa tabassum nami si aankhon mein
ayan hai chehre se us ke firaq-e-yar ka rang
amir-e-shahr ko hum be-kason se kya matlab
use to chahiye bas apne eqtidar ka rang
hamari qaum ko paDhne do qisse mazi ke
KHabar to hone do kya tha salib-o-dar ka rang
nahin tha shauq mujhe hijraton ka koi 'zafar'
dayar-e-ghair mein le aaya rozgar ka rang
- Book : خموش لب (Pg. 44)
- Author : ظفر محمود
- Publication : عرشیہ پبلی کیشنز دہلی۔95 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.