Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHizan ke jaur se waqif koi bahaar na ho

Yagana Changezi

KHizan ke jaur se waqif koi bahaar na ho

Yagana Changezi

MORE BYYagana Changezi

    Interesting Fact

    (I, like the former teachers, have not obeyed it.- Yaas)

    ḳhizāñ ke jaur se vāqif koī bahār na ho

    kisī pairahan-e-husn tār-tār na ho

    ba-rañg-e-sabza-e-begāna rauñd Daale falak

    mujhe bahār bhī aa.e to sāz-gār na ho

    ḳhizāñ ke aate gulchīñ ne pher liiñ āñkheñ

    kisī se koī vafā umīd-vār na ho

    Thahar Thahar dil-e-vahshī bahār aane de

    abhī se bahr-e-ḳhudā itnā be-qarār na ho

    Tapak ke āñkhoñ se aa.e lahū jo dāman tak

    to is bahār se behtar koī bahār na ho

    hayā baat hai ab tak qafas meñ zinda huuñ

    chaman meñ jā.ūñ to nargis se aañkh chaar na ho

    bahār aa.ī hai ghuT ghuT ke jaan de bulbul

    qafas meñ nik.hat-e-gul umīd-vār na ho

    ishāra-e-gul-o-bulbul pe chashmak-e-nargis

    ilāhī raaz kisī bhī āshkār na ho

    bichhā hai dām-e-tamannā asiir ho bulbul

    qafas yaad meñ is tarah be-qarār na ho

    asīr-e-dām na honā zarā sañbhal ai dil

    ḳhayāl-e-gesū-e-pur-ḳham gale baar na ho

    jo dekh le mujhe saaqī nashīlī āñkhoñ se

    ye mast phir kabhī sharminda-e-ḳhumār na ho

    'abas hai zikr-e-sharāb-e-tahūr aur vā'iz

    vo baat kar jo kisī dil ko nāgavār na ho

    visāl jab nahīñ mumkin to dil pe jabr achchhā

    vo kyā kare jise dil par iḳhtiyār na ho

    vo tiir kyā jo kisī ko na kar sake bismil

    nigāh-e-nāz vo kyā hai jo dil ke paar na ho

    mizāj-e-yār mukaddar na hone paa.e 'yās'

    buland dāman-e-zīñ kahīñ se ġhubār na ho

    KHizan ke jaur se waqif koi bahaar na ho

    kisi ka pairahan-e-husn tar-tar na ho

    ba-rang-e-sabza-e-begana raund Dale falak

    mujhe bahaar bhi aae to saz-gar na ho

    KHizan ke aate hi gulchin ne pher lin aankhen

    kisi se koi wafa ka umid-war na ho

    Thahar Thahar dil-e-wahshi bahaar aane de

    abhi se bahr-e-KHuda itna be-qarar na ho

    Tapak ke aankhon se aae lahu jo daman tak

    to is bahaar se behtar koi bahaar na ho

    haya ki baat hai ab tak qafas mein zinda hun

    chaman mein jaun to nargis se aankh chaar na ho

    bahaar aai hai ghuT ghuT ke jaan de bulbul

    qafas mein nikhat-e-gul ki umid-war na ho

    ishaara-e-gul-o-bulbul pe chashmak-e-nargis

    ilahi raaz kisi ka bhi aashkar na ho

    bichha hai dam-e-tamanna asir ho bulbul

    qafas ki yaad mein is tarah be-qarar na ho

    asir-e-dam na hona zara sanbhal ai dil

    KHayal-e-gesu-e-pur-KHam gale ka bar na ho

    jo dekh le mujhe saqi nashili aankhon se

    ye mast phir kabhi sharminda-e-KHumar na ho

    'abas hai zikr-e-sharab-e-tahur aur wa'iz

    wo baat kar jo kisi dil ko nagawar na ho

    visal jab nahin mumkin to dil pe jabr achchha

    wo kya kare jise dil hi par iKHtiyar na ho

    wo tir kya jo kisi ko na kar sake bismil

    nigah-e-naz wo kya hai jo dil ke par na ho

    mizaj-e-yar mukaddar na hone pae 'yas'

    buland daman-e-zin kahin se ghubar na ho

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 154)
    • Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
    • Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now