KHizan ke KHauf se kaliyon ko larzan dekh leta hun
KHizan ke KHauf se kaliyon ko larzan dekh leta hun
Abdussamad Qaiser
MORE BYAbdussamad Qaiser
ḳhizāñ ke ḳhauf se kaliyoñ ko larzāñ dekh letā huuñ
hujūm-e-rang-o-bū meñ ġham ke tūfāñ dekh letā huuñ
bhulā baiThā huuñ yād-e-talḳh ayyām-e-guzishta kī
magar ab bhī kabhī ḳhvāb-e-pareshāñ dekh letā huuñ
taḌap uThtā huuñ ġham se sīna-chākān-e-gulistāñ ke
guloñ ko dekh kar apnā garebāñ dekh letā huuñ
guloñ kī sīna-chākī bulbuloñ kā dard-e-betābi
maiñ har parde meñ tere jaur-e-pinhāñ dekh letā huuñ
dar-e-mai-ḳhāna vā hotā hai vaa.iz maiñ abhī aayā
zarā pī luuñ to bahs-e-kufr-o-īmāñ dekh letā huuñ
jo ġharqābī muqaddar hai to armāñ hī nikal jaa.e
zarā haT nāḳhudā maiñ zor-e-tūfāñ dekh letā huuñ
mirī ḳhuddāriyāñ jiine nahīñ detīñ mujhe 'qaisar'
magar banda huuñ us kā jis ko insāñ dekh letā huuñ
KHizan ke KHauf se kaliyon ko larzan dekh leta hun
hujum-e-rang-o-bu mein gham ke tufan dekh leta hun
bhula baiTha hun yaad-e-talKH ayyam-e-guzishta ki
magar ab bhi kabhi KHwab-e-pareshan dekh leta hun
taDap uThta hun gham se sina-chaakan-e-gulistan ke
gulon ko dekh kar apna gareban dekh leta hun
gulon ki sina-chaaki bulbulon ka dard-e-betabi
main har parde mein tere jaur-e-pinhan dekh leta hun
dar-e-mai-KHana wa hota hai waiz main abhi aaya
zara pi lun to bahs-e-kufr-o-iman dekh leta hun
jo gharqabi muqaddar hai to arman hi nikal jae
zara haT naKHuda main zor-e-tufan dekh leta hun
meri KHuddariyan jine nahin detin mujhe 'qaisar'
magar banda hun us ka jis ko insan dekh leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.