KHizan KHizan tha jo mausam gulab kya hota
ḳhizāñ ḳhizāñ thā jo mausam gulāb kyā hotā
us ek shaḳhs kā maiñ intiḳhāb kyā hotā
jo harf harf huā aur tere aage huā
bhalā vo shaḳhs ḳhud apnī kitāb kyā hotā
maiñ us ke chehre ke sab rang gar churā letā
to is gunah se ziyāda savāb kyā hotā
jo hijr-rang hī guzre tumhārī qurbat meñ
ajiib lamhe the un kā hisāb kyā hotā
safar ke pahle safhe par tumhārī āñkhoñ ke
alāva aur koī intisāb kyā hotā
vo raushnī kā amiiñ thā maiñ tīrgī kā safīr
phir us safar meñ bhalā ham-rikāb kyā hotā
KHizan KHizan tha jo mausam gulab kya hota
us ek shaKHs ka main intiKHab kya hota
jo harf harf hua aur tere aage hua
bhala wo shaKHs KHud apni kitab kya hota
main us ke chehre ke sab rang gar chura leta
to is gunah se ziyaada sawab kya hota
jo hijr-rang hi guzre tumhaari qurbat mein
ajib lamhe the un ka hisab kya hota
safar ke pahle safhe par tumhaari aankhon ke
alawa aur koi intisab kya hota
wo raushni ka amin tha main tirgi ka safir
phir us safar mein bhala ham-rikab kya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.