KHizan ki rut mein gul-kari mubarak
ḳhizāñ kī rut meñ gul-kārī mubārak
mirī āñkhoñ ko ye paanī mubārak
mirī āvāz se uktā ga.ī ho
tumheñ ab merī ḳhāmoshī mubārak
mirā milnā nahīñ tum ko gavāra
so tum ko merī tanhā.ī mubārak
mire ḳhvāboñ se 'ājiz aa ga.ī ho
mirī rātoñ kī bedārī mubārak
maiñ ab vaisā huuñ jaisā tum ne chāhā
mirī har ek nākāmī mubārak
mirī mushkil meñ āsānī hai tum ko
lo tum ko merī dushvārī mubārak
KHizan ki rut mein gul-kari mubarak
meri aankhon ko ye pani mubarak
meri aawaz se ukta gai ho
tumhein ab meri KHamoshi mubarak
mera milna nahin tum ko gawara
so tum ko meri tanhai mubarak
mere KHwabon se 'ajiz aa gai ho
meri raaton ki bedari mubarak
main ab waisa hun jaisa tum ne chaha
meri har ek nakaami mubarak
meri mushkil mein aasani hai tum ko
lo tum ko meri dushwari mubarak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.