KHizan ki rut mein gulab lahja bana ke rakhna kamal ye hai
KHizan ki rut mein gulab lahja bana ke rakhna kamal ye hai
Mubarik Siddiqi
MORE BYMubarik Siddiqi
ḳhizāñ kī rut meñ gulāb lahja banā ke rakhnā kamāl ye hai
havā kī zad pe diyā jalānā jalā ke rakhnā kamāl ye hai
zarā sī laġhzish pe toḌ dete haiñ sab ta.alluq zamāne vaale
so aise vaisoñ se bhī ta.alluq banā ke rakhnā kamāl ye hai
kisī ko denā ye mashvara ki vo dukh bichhaḌne kā bhuul jaa.e
aur aise lamhe meñ apne aañsū chhupā ke rakhnā kamāl ye hai
ḳhayāl apnā mizāj apnā pasand apnī kamāl kyā hai
jo yaar chāhe vo haal apnā banā ke rakhnā kamāl ye hai
kisī kī rah se ḳhudā kī ḳhātir uThā ke kāñTe haTā ke patthar
phir us ke aage nigāh apnī jhukā ke rakhnā kamāl ye hai
vo jis ko dekhe to dukh kā lashkar bhī laḌkhaḌā.e shikast khaa.e
laboñ pe apne vo muskurāhaT sajā ke rakhnā kamāl ye hai
KHizan ki rut mein gulab lahja bana ke rakhna kamal ye hai
hawa ki zad pe diya jalana jala ke rakhna kamal ye hai
zara si laghzish pe toD dete hain sab talluq zamane wale
so aise waison se bhi talluq bana ke rakhna kamal ye hai
kisi ko dena ye mashwara ki wo dukh bichhaDne ka bhul jae
aur aise lamhe mein apne aansu chhupa ke rakhna kamal ye hai
KHayal apna mizaj apna pasand apni kamal kya hai
jo yar chahe wo haal apna bana ke rakhna kamal ye hai
kisi ki rah se KHuda ki KHatir uTha ke kanTe haTa ke patthar
phir us ke aage nigah apni jhuka ke rakhna kamal ye hai
wo jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi laDkhaDae shikast khae
labon pe apne wo muskurahaT saja ke rakhna kamal ye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.