KHizan mein phul hamein su-e-bagh le ke chale
ḳhizāñ meñ phuul hameñ sū-e-bāġh le ke chale
shab-e-siyāh meñ jugnū charāġh le ke chale
hameñ kiran meñ piroyā agar bane zarra
hue haiñ chāñd to siine pe daaġh le ke chale
ham aa.e the chamanistān se tahī dāman
sharāb ḳhāne se ḳhālī ayāġh le ke chale
tamām umr jo apnī talāsh karte rahe
haiñ mudda.ī ki tumhārā surāġh le ke chale
na andalīb na qumrī ne ehtijāj kiyā
ki lahn-o-naġhma kā e.azāz zaaġh le ke chale
hameñ milī na ye mohlat ḳhushī baham karte
magar jahān se ġham-e-bā-farāġh le ke chale
yahāñ to fā.eda be-maġhz log uThāte haiñ
vatan meñ tum kahāñ 'shaukat' dimāġh le ke chale
KHizan mein phul hamein su-e-bagh le ke chale
shab-e-siyah mein jugnu charagh le ke chale
hamein kiran mein piroya agar bane zarra
hue hain chand to sine pe dagh le ke chale
hum aae the chamanistan se tahi daman
sharab KHane se KHali ayagh le ke chale
tamam umr jo apni talash karte rahe
hain muddai ki tumhaara suragh le ke chale
na andalib na qumri ne ehtijaj kiya
ki lahn-o-naghma ka eazaz zagh le ke chale
hamein mili na ye mohlat KHushi baham karte
magar jahan se gham-e-ba-faragh le ke chale
yahan to faeda be-maghz log uThate hain
watan mein tum kahan 'shaukat' dimagh le ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.