KHizan-nasib chaman ki bahaar hai ki nahin
ḳhizāñ-nasīb chaman kī bahār hai ki nahīñ
qabā-e-ġhuncha-o-gul tār-tār hai ki nahīñ
ġham-e-hayāt ġham-e-ishq aur ġham-e-daurāñ
kisī ko duniyā meñ in se farār hai ki nahīñ
rah-e-hayāt meñ aksar gumāñ ye guzrā hai
mirī vafā kā unheñ e.atibār hai ki nahīñ
baḌe tapāk se dil ne ye ham se pūchhā hai
koī hamārī tarah be-qarār hai ki nahīñ
ġham-e-hayāt se jis ko farār mil na sakā
qarār se vahī zer-e-mazār hai ki nahīñ
koī bhī sach ke sivā jhuuT boltā hī nahīñ
ye sāneha hai tumheñ e.atibār hai ki nahīñ
tazād hī pe ho buniyād jis hukūmat kī
har e.atibār se nā-pā.edār hai ki nahīñ
tumhārī firqa-parastāna zehniyat kī qasam
tamām arz-e-vatan sho.ala-bār hai ki nahīñ
ye eqtidār ke bhūkoñ se pūchhnā hai 'tarab'
tumhāre dam se vatan zer-e-bār hai ki nahīñ
KHizan-nasib chaman ki bahaar hai ki nahin
qaba-e-ghuncha-o-gul tar-tar hai ki nahin
gham-e-hayat gham-e-ishq aur gham-e-dauran
kisi ko duniya mein in se farar hai ki nahin
rah-e-hayat mein aksar guman ye guzra hai
meri wafa ka unhen eatibar hai ki nahin
baDe tapak se dil ne ye hum se puchha hai
koi hamari tarah be-qarar hai ki nahin
gham-e-hayat se jis ko farar mil na saka
qarar se wahi zer-e-mazar hai ki nahin
koi bhi sach ke siwa jhuT bolta hi nahin
ye saneha hai tumhein eatibar hai ki nahin
tazad hi pe ho buniyaad jis hukumat ki
har eatibar se na-paedar hai ki nahin
tumhaari firqa-parastana zehniyat ki qasam
tamam arz-e-watan shoala-bar hai ki nahin
ye eqtidar ke bhukon se puchhna hai 'tarab'
tumhaare dam se watan zer-e-bar hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.