KHizan ne phul ko patthar ne aaine ko chuna
ḳhizāñ ne phuul ko patthar ne aa.ine ko chunā
hamesha ham ne magar ek dūsre ko chunā
kisī bhī shakl meñ tajsīm karnā thā us ko
charāġh pahle bahut the so tāqche ko chunā
mirī nigāh meñ har chiiz ek jaisī thī
ki jab talak na kisī ek nazariye ko chunā
ḳhudā-e-lafz ne pahchān ke liye apnī
tumhāre saath hamāre mukālme ko chunā
ye phuul baaġh se bāhar na aa sake 'hāris'
ki Daalī tark bhī kī to kitābche ko chunā
KHizan ne phul ko patthar ne aaine ko chuna
hamesha hum ne magar ek dusre ko chuna
kisi bhi shakl mein tajsim karna tha us ko
charagh pahle bahut the so taqche ko chuna
meri nigah mein har chiz ek jaisi thi
ki jab talak na kisi ek nazariye ko chuna
KHuda-e-lafz ne pahchan ke liye apni
tumhaare sath hamare mukalme ko chuna
ye phul bagh se bahar na aa sake 'haaris'
ki Dali tark bhi ki to kitabche ko chuna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.