Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHizan ne ujaDe chaman kaise kaise

Tilok Chand Mahroom

KHizan ne ujaDe chaman kaise kaise

Tilok Chand Mahroom

MORE BYTilok Chand Mahroom

    ḳhizāñ ne ujāḌe chaman kaise kaise

    hue ḳhaak sarv-o-saman kaise kaise

    mile ḳhaak meñ dast-e-jaur-e-ḳhizāñ se

    gul-o-lāla-o-nastaran kaise kaise

    dikhā.e haiñ saudā-e-zulf-e-butāñ ne

    hameñ bhī ḳhatā-o-ḳhutan kaise kaise

    tire hijr meñ mil ga.e ham ko monis

    ġham-o-ranj-o-dard-o-mehan kaise kaise

    kabhī ho kisī ke kabhī ho kisī ke

    badalte ho sāhab chalan kaise kaise

    mire but se bhī koī miltā hai dekhūñ

    tire but haiñ ai barhaman kaise kaise

    na 'mahrūm' tab-e-mauzūñ pe utrā

    haiñ maujūd ahl-e-suḳhan kaise kaise

    KHizan ne ujaDe chaman kaise kaise

    hue KHak sarw-o-saman kaise kaise

    mile KHak mein dast-e-jaur-e-KHizan se

    gul-o-lala-o-nastaran kaise kaise

    dikhae hain sauda-e-zulf-e-butan ne

    hamein bhi KHata-o-KHutan kaise kaise

    tere hijr mein mil gae hum ko monis

    gham-o-ranj-o-dard-o-mehan kaise kaise

    kabhi ho kisi ke kabhi ho kisi ke

    badalte ho sahab chalan kaise kaise

    mere but se bhi koi milta hai dekhun

    tere but hain ai barhaman kaise kaise

    na 'mahrum' tu tab-e-mauzun pe utra

    hain maujud ahl-e-suKHan kaise kaise

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now