KHizan-rasida hain ab tak meri bahaar ke din
ḳhizāñ-rasīda haiñ ab tak mirī bahār ke din
tire baġhair mayassar nahīñ qarār ke din
jidhar bhī dekhiye sho.ale dikhā.ī dete haiñ
chaman meñ raas na aa.e hameñ bahār ke din
vo bāda-ḳhez nigāhoñ kī juñbisheñ tauba
mile the mujh ko bhī ye mastī-o-ḳhumār ke din
ḳhizāñ bhī aa.egī ik din ye baat lāzim hai
guzār lete mire saath tum bahār ke din
ye aur baat hai qismat palaT ga.ī merī
mujhe haiñ yaad abhī tak tumhāre pyaar ke din
hameñ to yaad hī un kī rulātī rahtī hai
tumhāre saath guzāre the jo qarār ke din
taḌaptā chhoḌ ke 'iqbāl' ko na jaao tum
kaTeñge kaise bhalā is se intizār ke din
KHizan-rasida hain ab tak meri bahaar ke din
tere baghair mayassar nahin qarar ke din
jidhar bhi dekhiye shoale dikhai dete hain
chaman mein ras na aae hamein bahaar ke din
wo baada-KHez nigahon ki junbishen tauba
mile the mujh ko bhi ye masti-o-KHumar ke din
KHizan bhi aaegi ek din ye baat lazim hai
guzar lete mere sath tum bahaar ke din
ye aur baat hai qismat palaT gai meri
mujhe hain yaad abhi tak tumhaare pyar ke din
hamein to yaad hi un ki rulati rahti hai
tumhaare sath guzare the jo qarar ke din
taDapta chhoD ke 'iqbaal' ko na jao tum
kaTenge kaise bhala is se intizar ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.