KHizan se kaun si shai chhin li bahaaron ne
KHizan se kaun si shai chhin li bahaaron ne
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
ḳhizāñ se kaun sī shai chhīn lī bahāroñ ne
guloñ ko aañkh dikhā.ī chaman meñ ḳhāroñ ne
chhupā chhupā ke rakhā thā jise bahāroñ ne
ugal diyā hai vahī ḳhuun lāla-zāroñ ne
qadam qadam pe hazāroñ fareb haiñ saaqī
irāde nek to bāñdhe haiñ bāda-ḳhvāroñ ne
usī maqām pe pahuñche haiñ tere dīvāne
jahāñ se aañkh churā.ī thī hoshyāroñ ne
mire jamāl kā har aa.ina ubhar aayā
ye saaz kaun se chheḌe haiñ ābshāroñ ne
qadam qadam pe tajallī nazar nazar jalva
kahāñ bulāyā hai muusā ko kohsāroñ ne
shab-e-firāq umīdoñ kī lau bhī kaañp uThī
kuchh aise giit bhī gaa.e haiñ chāñd tāroñ ne
umīd-o-bīm ke ā.īne muttasil rakh kar
hayāt-e-nau mujhe baḳhshī tire sahāroñ ne
ye ittifāq hai in ko vafā na raas aa.ī
bahāyā ḳhuun jigar tere jāñ-nisāroñ ne
duā hai phir bhī salāmat rahe ye mai-ḳhāna
evaz meñ mai ke piyā ḳhuun bāda-ḳhvāroñ ne
sukūñ kī bhiik to māñgī na thī kabhī maiñ ne
karam kiyā hai kahāñ mere ġham-gusāroñ ne
chubho diye haiñ diloñ meñ jo ḳhār-e-ġham tum ne
unhīñ se zaḳhm kurede vafā-shi.āroñ ne
kahāñ kā zauq-e-nazar ḳhud nazar hai gum 'fā.iq'
chhupā liyā hai mujhe yuuñ tire nazāroñ ne
KHizan se kaun si shai chhin li bahaaron ne
gulon ko aankh dikhai chaman mein KHaron ne
chhupa chhupa ke rakha tha jise bahaaron ne
ugal diya hai wahi KHun lala-zaron ne
qadam qadam pe hazaron fareb hain saqi
irade nek to bandhe hain baada-KHwaron ne
usi maqam pe pahunche hain tere diwane
jahan se aankh churai thi hoshyaron ne
mere jamal ka har aaina ubhar aaya
ye saz kaun se chheDe hain aabshaaron ne
qadam qadam pe tajalli nazar nazar jalwa
kahan bulaya hai musa ko kohsaron ne
shab-e-firaq umidon ki lau bhi kanp uThi
kuchh aise git bhi gae hain chand taron ne
umid-o-bim ke aaine muttasil rakh kar
hayat-e-nau mujhe baKHshi tere sahaaron ne
ye ittifaq hai in ko wafa na ras aai
bahaya KHun jigar tere jaan-nisaron ne
dua hai phir bhi salamat rahe ye mai-KHana
ewaz mein mai ke piya KHun baada-KHwaron ne
sukun ki bhik to mangi na thi kabhi main ne
karam kiya hai kahan mere gham-gusaron ne
chubho diye hain dilon mein jo KHar-e-gham tum ne
unhin se zaKHm kurede wafa-shiaron ne
kahan ka zauq-e-nazar KHud nazar hai gum 'faiq'
chhupa liya hai mujhe yun tere nazaron ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.