KHizr jis se bane us aab-e-baqa se Dariye
ḳhizr jis se bane us āb-e-baqā se Dariye
lambī umroñ se buzurgoñ kī duā se Dariye
ham-qadam ban ga.e us ke to Thikāna hī nahīñ
aatī jaatī huī be-samt havā se Dariye
niyyat-e-jurm hī hai jurm kā āġhāz yahāñ
jo na kī ho usī nā-karda ḳhatā se Dariye
sāneha rūnumā ho jā.egā shaq hone par
teshe ko rokiye patthar kī anā se Dariye
pattā pattā yahāñ baiThā hai sameTe ḳhud ko
gungunātī huī is bād-e-sabā se Dariye
aur shai haiñ to koī Darne kī hājat hī nahīñ
aap bande haiñ ḳhudā ke to ḳhudā se Dariye
rahmateñ zahmateñ ban jaatī haiñ aksar ai 'aah'
ho na ye sail-e-balā kaalī ghaTā se Dariye
KHizr jis se bane us aab-e-baqa se Dariye
lambi umron se buzurgon ki dua se Dariye
ham-qadam ban gae us ke to Thikana hi nahin
aati jati hui be-samt hawa se Dariye
niyyat-e-jurm hi hai jurm ka aaghaz yahan
jo na ki ho usi na-karda KHata se Dariye
saneha runuma ho jaega shaq hone par
teshe ko rokiye patthar ki ana se Dariye
patta patta yahan baiTha hai sameTe KHud ko
gungunati hui is baad-e-saba se Dariye
aur shai hain to koi Darne ki hajat hi nahin
aap bande hain KHuda ke to KHuda se Dariye
rahmaten zahmaten ban jati hain aksar ai 'ah'
ho na ye sail-e-bala kali ghaTa se Dariye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.