kho diya hai ek aisa aadmi
kho diyā hai ek aisā aadmī
sab jise kahte the achchhā aadmī
apne hāthoñ se gañvā kar dosto
DhūñDne nikle haiñ apnā aadmī
jhaḌ ga.e patte parinde uḌ ga.e
jis shajar par maiñ ne likkhā aadmī
ek hī fitna uThā.egā miyāñ
āḳhirī kyā aur pahlā aadmī
muskurāhaT ne tirī dhoka diyā
aur hamāre dil se utrā aadmī
aa gayā hai jo mirī dahlīz par
lag rahā hai dekhā dekhā aadmī
vo ġhamoñ ke vāste tiryāk thā
sab jise kahte the kaḌvā aadmī
bain kartī phir rahī hai zindagī
aadmī kā hai sahārā aadmī
kyā 'adīm' uftād sar par aa paḌī
ghar se ḳhālī haath niklā aadmī
kho diya hai ek aisa aadmi
sab jise kahte the achchha aadmi
apne hathon se ganwa kar dosto
DhunDne nikle hain apna aadmi
jhaD gae patte parinde uD gae
jis shajar par main ne likkha aadmi
ek hi fitna uThaega miyan
aaKHiri kya aur pahla aadmi
muskurahaT ne teri dhoka diya
aur hamare dil se utra aadmi
aa gaya hai jo meri dahliz par
lag raha hai dekha dekha aadmi
wo ghamon ke waste tiryak tha
sab jise kahte the kaDwa aadmi
bain karti phir rahi hai zindagi
aadmi ka hai sahaara aadmi
kya 'adim' uftad sar par aa paDi
ghar se KHali hath nikla aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.