kho diya maine zarurat ke safar se kya kya
kho diyā maiñ ne zarūrat ke safar se kyā kyā
ab kahūñ kis se gayā hai mire ghar se kyā kyā
ek ham hī haiñ tahī-dast yahāñ se lauTe
varna paayā hai sabhī ne tire dar se kyā kyā
zālimo ham hī nahīñ tum bhī yahīñ dekhoge
le ke lauTegī duā bāb-e-asar se kyā kyā
tum to masrūf rahe aag hī bhaḌkāne meñ
jal gayā siine meñ us soz-e-jigar se kyā kyā
pheñk kar sang rahe tum to salāmat lekin
aa.ine TuuTe haiñ ik jhūTī ḳhabar se kyā kyā
kāTne vaale tujhe us kī ḳhabar bhī kuchh hai
vāste mere the us shāḳh-e-shajar se kyā kyā
fat.h kī aas yaqīñ azm hunar jiine kā
dafn siine meñ hue haar ke Dar se kyā kyā
tazkira jab bhī huā tīr-e-nazar kā us kī
zaḳhm hañste hue guzre haiñ nazar se kyā kyā
le gayā kaaT ke ye vaqt usī ko 'ash.har'
mo.ajize hone the jis dast-e-hunar se kyā kyā
kho diya main ne zarurat ke safar se kya kya
ab kahun kis se gaya hai mere ghar se kya kya
ek hum hi hain tahi-dast yahan se lauTe
warna paya hai sabhi ne tere dar se kya kya
zalimo hum hi nahin tum bhi yahin dekhoge
le ke lauTegi dua bab-e-asar se kya kya
tum to masruf rahe aag hi bhaDkane mein
jal gaya sine mein us soz-e-jigar se kya kya
phenk kar sang rahe tum to salamat lekin
aaine TuTe hain ek jhuTi KHabar se kya kya
kaTne wale tujhe us ki KHabar bhi kuchh hai
waste mere the us shaKH-e-shajar se kya kya
fath ki aas yaqin azm hunar jine ka
dafn sine mein hue haar ke Dar se kya kya
tazkira jab bhi hua tir-e-nazar ka us ki
zaKHm hanste hue guzre hain nazar se kya kya
le gaya kaT ke ye waqt usi ko 'ashhar'
moajize hone the jis dast-e-hunar se kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.