kho gai ghairat-e-dil zauq-e-talab baqi hai
kho ga.ī ġhairat-e-dil zauq-e-talab baaqī hai
kaise mar jā.ūñ ki jiine kā sabab baaqī hai
jalva-e-sub.h kā manzar hai gulistāñ meñ to kyā
āshiyānoñ meñ abhī zulmat-e-shab baaqī hai
nashr ho jā.egī ḳhud kulfat-e-daurāñ kī hadīs
tere shā.ir meñ agar jur.at-e-lab baaqī hai
husn aur ishq meñ ik ḳhaas hai rabt-e-ulfat
dil salāmat hai to phir chashm-e-ġhazab baaqī hai
kūcha-e-ishq meñ dil aaj bhī hai sargardāñ
ab bhī vo shefta-e-āriz-o-lab baaqī hai
jab talak dahr meñ zinda hai zabān-e-urdu
raunaq-e-anjuman-e-sher-o-adab baaqī hai
gardish-e-vaqt kī raftār batātī hai 'sabā'
chashmak-e-soz-e-alam sāz-e-tarab baaqī hai
kho gai ghairat-e-dil zauq-e-talab baqi hai
kaise mar jaun ki jine ka sabab baqi hai
jalwa-e-subh ka manzar hai gulistan mein to kya
aashiyanon mein abhi zulmat-e-shab baqi hai
nashr ho jaegi KHud kulfat-e-dauran ki hadis
tere shair mein agar jurat-e-lab baqi hai
husn aur ishq mein ek KHas hai rabt-e-ulfat
dil salamat hai to phir chashm-e-ghazab baqi hai
kucha-e-ishq mein dil aaj bhi hai sargardan
ab bhi wo shefta-e-ariz-o-lab baqi hai
jab talak dahr mein zinda hai zaban-e-urdu
raunaq-e-anjuman-e-sher-o-adab baqi hai
gardish-e-waqt ki raftar batati hai 'saba'
chashmak-e-soz-e-alam saz-e-tarab baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.