kho kar din ki baaton mein
kho kar din kī bātoñ meñ
ghabrātā huuñ rātoñ meñ
andeshoñ kā jañgal hai
nafrat kī sauġhātoñ meñ
sāvan meñ aañsū ya.anī
barsāteñ barsātoñ meñ
nādīda shīrīnī hai
sachche rishte-nātoñ meñ
ḳhasta-hālī dekhī hai
mazdūroñ ke hāthoñ meñ
kuTiyā le kar kitne ḳhvāb
Duubī thī barsātoñ meñ
yādeñ giit sunātī haiñ
tanhā sākit rātoñ meñ
kho kar din ki baaton mein
ghabraata hun raaton mein
andeshon ka jangal hai
nafrat ki saughaton mein
sawan mein aansu yani
barsaten barsaton mein
nadida shirini hai
sachche rishte-naton mein
KHasta-haali dekhi hai
mazduron ke hathon mein
kuTiya le kar kitne KHwab
Dubi thi barsaton mein
yaaden git sunati hain
tanha sakit raaton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.