khoe hue the apni hi tanhaiyon mein hum
kho.e hue the apnī hī tanhā.iyoñ meñ ham
ubhre haiñ Duub Duub ke gahrā.iyoñ meñ ham
rakhte rahe na jaane kis andāz se qadam
Thahre haiñ taaq hādisa-paimā.iyoñ meñ ham
ye aur baat hoñT kabhī tar na kar sake
har chand tairte rahe purvā.iyoñ meñ ham
azmat mile to us ke ta.āqub meñ rah na jaa.eñ
ab tak to pesh pesh haiñ rusvā.iyoñ meñ ham
ho laakh sar pe shoa.la-fishāñ zindagī kī dhuup
chalte raheñge maut kī parchhā.iyoñ meñ ham
ubhre the saath mauj ke Duube bhañvar ke saath
le kar ga.e haiñ sat.h ko gahrā.iyoñ meñ ham
yakjā hue hayāt kī chuTkī se chauñk kar
bikhre hue the zaat kī pahnā.iyoñ meñ ham
'nāzish' hameñ to ḳhār-e-chaman bhī aziiz hai
mahdūd kyā hoñ phuul kī ra.anā.iyoñ meñ ham
khoe hue the apni hi tanhaiyon mein hum
ubhre hain Dub Dub ke gahraiyon mein hum
rakhte rahe na jaane kis andaz se qadam
Thahre hain taq hadisa-paimaiyon mein hum
ye aur baat honT kabhi tar na kar sake
har chand tairte rahe purwaiyon mein hum
azmat mile to us ke taaqub mein rah na jaen
ab tak to pesh pesh hain ruswaiyon mein hum
ho lakh sar pe shoala-fishan zindagi ki dhup
chalte rahenge maut ki parchhaiyon mein hum
ubhre the sath mauj ke Dube bhanwar ke sath
le kar gae hain sath ko gahraiyon mein hum
yakja hue hayat ki chuTki se chaunk kar
bikhre hue the zat ki pahnaiyon mein hum
'nazish' hamein to KHar-e-chaman bhi aziz hai
mahdud kya hon phul ki ranaiyon mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.